Tag: तुम दुनिया के नूर हो Tum duniya ke noor ho

  • तुम दुनिया के नूर हो Tum duniya ke noor ho

    तुम दुनिया के नूर हो

    तुम दुनिया के नूर हो
    चराग बन के चमको

    जो शहर ऊँचे पहाड़ो पे बस्ता है
    उसे भला कैसे छुपाया जा सकता है

    शम्मा जला के कौन उसको छुपता है
    रौशनी से उसकी उजाला हो जाता है

    ऐसे काम करना सदा तुम दुनिया में
    तुम में सब तुम्हारे मसीहा को पहचाने


    Tum duniya ke noor ho

    Tum duniya ke noor ho
    Chiraag ban ke Chamko

    Jo shaher unche pahado pe basta hai
    use bhala kaise chupaya ja sakta hai

    shamma jala ke kaun usko chupata hai
    Roshni se uski ujala ho jaata hai

    aise kaam kerna sada tum duniya me
    tum me sab tumhare masiha ko pehchane

  • तुम जगत की ज्योति हो Tum jagat ki jyoti ho

    तुम जगत की ज्योति हो

    तुम जगत की ज्योति हो
    तुम धरा के नमक भी हो- 2

    तुमको पैदा इसलिये किया
    तुमको जीवन इसलिये मिला
    उसकी मर्ज़ी कर सको सदा
    तुम जगत…

    वो नगर जो बसे शिखर पर
    छिपता ही नहीं, किसी की नज़र
    तुम्हारे भले काम
    चमके इस तरह
    तुम जगत…

    पड़ोसी से प्रेम, तुमने सुना है
    दुश्मनों से प्रेम मेरा कहना है
    तब ही तुम संतान
    परमेश्वर समान,
    तुम जगत…

    आँख के बदले आँख, बुराई का सामना है
    फेरो दूसरा गाल, सह लो सब अन्याय
    ऐसा जीवन ही
    पिता को भाता है,
    तुम जगत


    Tum jagat ki jyoti ho

    Tum jagat ki jyoti ho
    Tum dharaa ke namak bhi ho – 2

    Tum ko paida isliye kiya
    Tumko jeevan isliye mila
    Uske marzi kar sako sadaa
    Tum jagat…

    Vah nagar jo basse shikhar par
    Chhipta hi nahi, kisi ki nazar
    Tumhare bhale kaam
    chamke is tarah,
    Tum jagat…

    Padosi se prem, tumne sunaa hai
    Dushman se prem mere kahna hai
    Tabhi tum santaan
    Parmeshwar samaan,
    Tum jagat…

    Aankh ke badle aankh, burai ka samna hai
    Fero dusra gaal sah lo sab anyaay
    aisa jeevan hi
    pita ko bhaata hei,
    Tum jagat…