Tag: दीप जले / Deep Jale

  • दीप जले / Deep Jale

    दीप जले, प्रभु नाम रहे
    मेरे मंदिर में, मंदिर में

    दीप जलाऊं, राह निहारूं
    दर्शन को प्रभु दर्शन को
    नाम रहे मन में, प्रभु नाम रहे मन में

    सांझ सवेरे, ये मन गाये
    येशु तेरा नाम, प्रभु येशु तेरा नाम
    आन बसो मन में, प्रभु आन बसो मन में

    हे प्रभु दाता विश्वा विधाता
    नमन करूँ, प्रभु नमन करूँ
    राग जगे मन में, अनुराग जगे मन में


    Deep jale, prabhu naam rahe
    Mere mandir mein, mandir mein

    Deep jallaaoon, raah nihaaroon
    Darshan ko prabhu darshan ko
    Naam rahe mann mein, prabhu naam rahe mann mein

    Saanjh savere, yeh mann gaaye
    Yeshu tera naam, prabhu yeshu tera naam
    Aan baso mann mein, prabhu aan baso mann mein

    He prabhu data vishvavidhata
    Naman karoon, prabhu naman karoon
    Raag jagey mann mein, anuraag jaagey mann mein